Mere sapnon ka jahaan…!!

Posted: October 24, 2012 by Elements - The Writers' Club in Contest, Elements @ Sir Padampat Singhania University, Udaipur, Partners, Writes...
Tags: , , , , , , , , , , , ,

Kya bataun tumhe mere sapno ka jahan kaisa tha….
Dil main basi khusi aur wo chehre pe muskurahatshayad main us jannat ki dehliz pe rehta tha..

Har din ka ujala jaise ek nayi jindge ka farman hota tha aur uski ek hasi pe ye dil har baar kurban hota tha…
Unki ek jhalak ke liye ye aankhen roz samay se pehle khulti thi…
Tabhi toh shayad ye class main sirf unhe he dundha karti thi…
Unke intejar main ye dil aise dhadhka karta tha…
Jaise har ek lamha ek arsa laga karta tha…
Unka mujhpe gussa karna ek apne pan ka ehsas dilata tha…
Unka pata nhi par mere liye toh sirf ye unke liye mere pyar ko bhadata tha….
Unki aankhon main maine apne liye pyar ko dekha tha..
Sacchayi ke wo askon ko unki baton main rehte dekha tha…
Keh na pate thay jo hum wo bus ek nazar he keh jati thi…
Aage baithe wo yun peeche mud ke dekha karti thi…
Sapno ke us jahan main sirf khushiyon ki mehfil sajti thi…
Kyunki gum ke sagar ko wo apne dil main dabakar rakhti thi…
Unko chodne ke chakkar mein main roz uncle se dant khata tha…
Par phir bhi un uncle pe na jane kyun itna pyar aata tha…
Sapno ke us jahan main shayad poora jee chukka hun main…
Shayad isiliye sapno ke uss jahaan ko sab kuch de chukka hun main…
Apno se jyada main unki khushiyon pe dhyan deta tha…
Ab aur kya bataun mere sapno ka jhan kaisa tha…

Abhishek Kumar
Sir Padampat Singhania University,Udaipur 
abhishekmr280@gmail.com

in collaboration with Elements, SPSU Udaipur

TOPIC: Relationships? Are they about emotions or compatibility?

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s