Maa, main rahti, to kahti
Badi sahmi si rahti hai teri beti aajkal,
Ban baitha hai khauf uski aankhon ka kajal maa,
Ab andhere se darr sa lagta hai mujhe bohot,
Teri gudiya suraj ke sath sath doob jati hai maa,
Kabhi aandhi me ladte ped si mazboot thi main,
In hawas ke jhonkon ne kamzor kar dala hai maa,
Ik izzat ki zindagi bhi na de pati hai ye dunia,
Aisi kaun si jannat main maang baithi thi maa,
Maa mere gunahgaaron ko kuch yun saza mile,
Ho jae sawera kuch aisa,ki phir shaam na dhale,
Badle jo soch zamaane ki to maa ek ummed si hai,
Teri har beti bas phir is dunia ko jannat hi kahe…
Amim Fatmi
NIFT, New Delhi
simply superb..hats off to u 🙂