Ek khule maidan mein
Aasmaaa ki chaoo mein lipat kar
Behaktee hue mausam ki aahat mein
Ud chal mein ud chala mein
Baarish ki haseen mehakte pal mein
Durr khile baadlon mein
Suraj ki kiran ko lapatee hue
Ud chala mein ud chala mein
Uss chupee hui boondh ki kashish mein
Uss chupee hui mehak ki soch mein
Uss lehrate hui haseen ke tasawar mein
Ud chala mein ud chala mein
Lehrate nayan ki ghustakhiyon mein
Ek ajeeb tanhai ki ghoonj mein
Kuch kehne laga aasman ki chao se
Ud chala mein ud chala mein
Gulistan ki mehak mein umda hua
Aarmanon ke chupee alfazon mein lipta hua
Khilte hue us ghulistan ki khushi mein
Ud chala mein ud chala mein
Simti hui us suraj ki haseen kiran mein
Zameen pe chupe hue uss paigam mein
Baadalon kii us khwaish mein
Ud chala mein ud chala mein
Pattiyoon ki bhoondh par lehratee hue khushi mein
Us ghanee pedh ki daliyon pe
Bikhri hue har dali ki khushi mein
Har patti ki uss muskurahat mein
Ud chala mein ud chala mein…
Rahul Bhat
K.J Somaiya College Of Enginering