(1)
Sawan Main Varsha Ka Abhash Hoti Hai Betiyan
Muskrahat Har Ghar Ki
Aur Shan Hoti Hai Betiyan…
Upvan Ke Sondarya Ke Saman Hoti Hai Betiyan
Gulshan Me Phoolo Ki Bahar Hoti Hai Betiyan
Kantile Jivan Main Komal Ehsaas Hoti Hai Betiyan
Ghar Ki Laxmi,
Natkhat Aur Nadan Hoti Hai Betiyan…
(2)
Garm Hawao Ke Bhitar Shital Chhav Hoti Hai Betiyan
Maa Ka Dular
Aur Pita Ka Bhi Pyar Hoti Hai Betiyan
Nnhi Si Jaan,
Prem Ki Abhivyakti Hoti Hai Betiyan…
Gar Hai Beta ‘Sitare Si Chamak’,
To,
Sara Aasman Hai Betiyan
Gar Hai Beta Ek Pushp,
To,
Sara ‘Gulista’ Hai Betiyan…
Kabhi Sita Aur Savitri,
To
‘Kalpana’ Bankar Udaan Bharti Hai Betiyan
Shakti Savroopa Nischaal Wo,
Maa Durga Ka Vardaan Hoti Hai Betiyan…
(3)
Kabhi Pati Ki Dridhta Ki Pehchan Hoti Hai Betiyan
To,
Pita Ka Bhi Samman Hoti Hai Betiyan
Kabhi Mamta Ki Murat Ban Jati Hai Betiyan
Kabhi Sahas Se Shringr Karti Hai Betiyan…
Sach,
Karuna Nidan Hoti Hai Betiyan
Sneh Se Bhari Surat Hoti Hai Betiyan…
(4)
Hai Rishto Ki Adhar Shila Ye Betiyan
Hoti Hai Koyal Ka Sangeet Swar Bhi
Nari Ka Swabhiman Hoti Hai Betiyan
Aur Do Kul Ki Maryada Bhi
Sach,
Ishvar Ka Uphaar Hoti Hai Betiyan…
Prateeti Rawal
Sir Padampath Singhaniya University, Udaipur