Badalte Dekha Hai

Posted: May 5, 2014 by Ankur in Contest, Writes...
Tags: , , ,

ContestZamaane ki iss adla-badal me
Badlaaw ko v badalte dekha hai…

Raat so paata nahi….
Khuli aankho se har pahar ko badalte dekha hai…

Karwate badal-badal kr
khud ko badalte dekha hai

Machhliyo ke saath-saath us nehar ko badalte dekha hai….
Logo ke saath saath is sehar ko v badalte dekha hai….

Samay to bdlte hi hai…
Humne to zehar ko bhi badalte dekha hai…

Humaari aankho me aakar dekho,,
isne to khuda ki mehar ko bhi badalte dekha hai…

Jhuth sun sun kar,,
Humne sach ko bhi badalte dekha hai…
Har aankh me humne aansuo ke pehluo ko bhi badalte dekha hai….

Chahta hu paana us chand ko..
magar har roj us chaand ko badalte dekha hai…

Chamakte h sitaare gagan me,,
Badalte h mausam chaman me,,
mausam-der-mausam…
Sitaaro ki chamak ko bdlte dekha hai….

Bdlte kalam ke ishaaro me
Humne Kavitaao-Kahaaniyo ko bhi badalte dekha hai….

Har din nihaarta hu iss khubsurat aasmaan ko….
Har roj in hawaaon ke rukh ko badalte dekha hai….

Karwate badal-badal humne
Khud ko bhi badalte dekha hai…… 

Badalte dekha hai..

Rajat Ranjan

NIFT Bhubaneswar

rajatr81@gmail.com

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s