Aaj tanhaan hun main in raahon mein, toh yaad teri aati hai
Jab hota hun neendon mein, toh sapnon mein tu aati hai
Kholta hun palkein, toh kahi ozal tu ho jaati hai
Saamne bhi aa mere kabhi, kyon saaya ban mujhe rulaati hai?
Aata hun piche tere
Tujhe apne kareeb lane ko
Par is bheed mein tu hamesha kahin kho jaati hai!
Mann karta hai, tujhe tham lun in baahon mein aaj
Par tu hawa jitni chanchal, pakad mein kahan aati hai?
Bas mehsoos kar leta hun tujhe, jab yaad teri aati hai
Aakhir tanhaan hun in rahon mein, yaad teri aati hai
Shivendu Pareek
Sir Padampat Singhania University, Udaipur
shivendup556@gmail.com
https://www.facebook.com/ThakurShivendu.Pareek