Aaj Phir Garaj Garaj Kar Barse Neta
Sansad Se Ye Byan Aaya Hain
Matriji,
Dal Ka Nahi,
Vayakti Ka Mulya Ghataya Hain…
Phir Pucha Maine,
Mahangai Ko Kyu Bhadhaya Hain ?
Ham Garib, Behal, Kangal Ho Rain Bitae
Yadi Sach,
“Mahangai Dayan Khae Jaat Hain”
To Phir Kyu Khayal Aisa Aya Hain?
Matri Bole,
Hamne Khub Kamaya Hain
Parwah Nahi Hame Auro Ki
Mahangai Ko Hi To Badhaya Hain
To Tumhara Kya Churaya Hain?
Tab Main Bola,
Nahi Dekha Kyu Hamari Aur?
Kya Garib Ke Bachhe Ko Jine Ka Adhikar Nhin?
Haa, Tumne Danav Saa Bhes Rachaya Hain
Aur Aam Insaan Ko Fasaya Hain…
[ANURODH]
Tum Ho Vidhata, Bandhu- Sakha Mere,
Ishwar Ke Saman Tumhe Bataya Hain
Chod Bhrastachar, Sabhay Rastara Ka Nirman Kar
Kam Kar Mahangai, Karta Hu Araj Aaj Main
Din Hin Lachar Khada Main
Tumne Khub Sataya Hain
Tumne Khub Sataya Hain…
Mantri Bole,
Sabhayata To Hamare Khun Main Nahi
Tabhi To Hame Neta Banaya Hain
Jhuth Bolkar Lutkar
Hamne Raz Jamaya Hain
Hamne Raz Jamaya Hain…
Deta Hoon Ashvasan Main,Badhegi Aur Mahangai
Farz Nibha Raha Hoon Neta Ka Main
Akhir Tumne Hame Jo Apnaya Hain
Akhir Tumne Hame Jo ApnayaHain…
Sun Baat Ye Kavi Ne Samjhaya Hain
Aadambar Netao Ne Ab Bahut Rachaya Hain
Krishna Ke Chehre Main Kans Saa Charitra Dhikhaya Hain
Aur Paapi Kans Ne To Desh Ko Bikvaya Hain…
Tum Ho Bharat Ka Bhavishya Sambhal Desh Ki Bagdor
Samjhau Main Tarun Ko Ab,Mar Bhaga Gaddaro Ko…
Kyuki,
Badnam Kiya Namak Desh Ka
Vikas Nhi Jebo Ko Bharvaya Hain
Vikas Nhi Jebo Ko Bharvaya Hain…
Prateeti Rawal
Sir Padampat Singhaniya University
mujhe poem nahi samvaad chahiye!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
guru aur shishya ka
2 chatro ka padhai sambandhit
2 mahilaon ka mehengai smbandhit